July 19, 2012

Masoom Mohabbat Ka Fasana - Poetry


Masoom mohabbat ka

bas itna sa fasana hai,

kagaz ki haveli hai

aur baarish ka zamaana hai,

kya shart-e-mohabbat

kya shart-e-zamaana hai,

awaaz bhi zakhmi hai

aur geet bhi gaana hai,

us par utarne ki

ummeed bhi bhut kam hai,

kasti bhi purani hai

aur toofan ko bhi aana hai,

samjhe ya na samjhe wo

andaaz mohabbat ka,

ek shaks ko ankhon se

dil ka sara hal sunana hai,

bholi si adaa

phir koi ishq ki zid pe hai

phir aag ka dariya hai

aur doob ke jana hai.....

0 comments:

Post a Comment

ShareThis

Recommended Post Slide Out For Blogger